Maine Shoaib Mansoor ki pehli film "Khuda ke liye" dekhi thee, achhi thee, I mean, for a Pakistani film. Yeh vali ki mein achhi copy dhoondh rahi hoon. Ek mili thhee, magar bekaar print thha... maine koi 1 hour dekhi lekin bohat zyada dramatic thhee, vaisay concept bohat zaroori or acting bohat achhee hai. z10, mujhe bhi English subtitles dhoondne hain iss ke liye. Pata nahin Pakistani film industry subtitling kyun hamesha nahi karti hai
bibi allat, maine khud likh liye hain subtitles is film ke liye. 2 haftay lage the mujhe, aur shayed itne achay nahi hain, laikin mukammil zaroor hai. Maine zoomi ko dikhwaye the aur usse sari film ki samajh agayi thi. Agar aap chahein tau mein aap bhej sakta hoon yeh subtitles?