barray khushi ki baat hai zDus bhai sahb keh aap ney Urdu-Hindi (Hindustani) thread ki shuruaat ki
Kaash aisay mauqoun pey mein Altaf Hussain ki aik adad taqreer yaad kar kay ata
Unn ki rang barangi urdu taqareer ney mujhe MQM ka fan bana diya hai
Hairat ki baat hai, sirf dus saal pehlay meri Urdu itni vahiyaat thii keh rahay naam Allah ka
Zahir si baat hai, jab English-medium schooloun mein taaleem haasil karo gey, tau Urdu ka tau berra-ghark tau hona hai.
Laikin mujhe khushi iss baat ki hai keh aakhri paanch saal mein main ney apnay Urdu bol kaafi hadd tak behtar kar liyey hain. Bass, sirf Urdu likhai ki piraktiss (transliterating 'practice' in roman urdu) baqi hai.
Iss key ilawa, kaash aap sab Urdu kay alfaaz parh bhi saktay...warna itnay arsay tak meray Urdu dastakhat (signature) desi khawateen o hazraat keh liye itnay ghair na hotay.
Adaab arz hai.
wah ji wah,
chaudry saab, aapke kyan khyalat hain pakistan cricket team ke bare main is sare ilzamat ko dekhte huwe?
2007 sey mujhe kirkit jaisay khel, aur Pakistan ki kirkit team sey sakht nafrat hai.
Bas yehi kehna pasand karoon ga keh jahan kahin bhi gand hota hai, wahan peechay kissi Pakistani ka haath zaroor hota hai.
Football Zindabad! Bas kaash humari football team itni gandi nah hoti. :(