Skip navigation
Sidebar -

Advanced search options →

Welcome

Welcome to CEMB forum.
Please login or register. Did you miss your activation email?

Donations

Help keep the Forum going!
Click on Kitty to donate:

Kitty is lost

Recent Posts


AMRIKAAA Land of Free .....
Today at 01:25 PM

News From Syria
Yesterday at 09:35 AM

New Britain
December 08, 2024, 10:30 AM

Lights on the way
by akay
December 07, 2024, 09:26 AM

اضواء على الطريق ....... ...
by akay
December 06, 2024, 01:27 PM

Ashes to beads: South Kor...
December 03, 2024, 09:44 PM

Qur'anic studies today
by zeca
November 30, 2024, 08:53 AM

Gaza assault
by zeca
November 27, 2024, 07:13 PM

What music are you listen...
by zeca
November 24, 2024, 06:05 PM

Do humans have needed kno...
November 22, 2024, 06:45 AM

Marcion and the introduct...
by zeca
November 19, 2024, 11:36 PM

Dutch elections
by zeca
November 15, 2024, 10:11 PM

Theme Changer

 Topic: Urdu Shairi

 (Read 13637 times)
  • 1« Previous thread | Next thread »
  • Urdu Shairi
     OP - October 16, 2010, 12:32 AM

    Apni pasandidah shairi yahaan post karein - shaiir ke naam ke saath! dance

    "Blessed are they who can laugh at themselves, for they shall never cease to be amused."
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #1 - October 16, 2010, 12:46 AM

    zabardast dhaga, mein apne pasandeeda shairon ke sher dhoond ke yaha pesh karoonga

    At evening, casual flocks of pigeons make
    Ambiguous undulations as they sink,
    Downward to darkness, on extended wings. - Stevens
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #2 - October 16, 2010, 12:52 AM

    bhot be-abru hoke tere kuche se hum nikle sanam...
    hazaroon khaish aisi ke har khaish be dum nikle

    -- mirza ghalib saab

    At evening, casual flocks of pigeons make
    Ambiguous undulations as they sink,
    Downward to darkness, on extended wings. - Stevens
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #3 - October 16, 2010, 01:50 AM

    yaar mujhe yeh samajh kyun nahin aata.
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #4 - October 16, 2010, 02:12 AM

    Yeh to ek gaana hai, magar is gaane ke shabd shairi ki tarah hai.

    http://www.youtube.com/watch?v=McYnZj-EvL4

    Arziyaan Sari Mein, Chehre Pe Likh Ke Laaya Hoon
    Tumse Kya Mangu Mein, Tum Khud Hi Samjah Lo...
    Ya Maula..., Maula Maula Maula Mere Maula
    (Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
    (Maula Maula Maula Maula) - 2
    Dararein Dararein Bandhein Pe Maula
    Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..
    (Tere Dar Pe Jhuka Hoon Meeta Hoon Bana Hoon) - 2
    (Marammat Mukdar Ki Kar Doo Maula..) - 2

    (Jo Bhi Tere Dar Aaya, Juhkne Jo Sar Aaya
    Mastiyan Piye Sabko, Jhoomta Nazar Aaya) - 2
    Pyaas Le Ke Aaya Tha, Dariya Woh Bhar Laya
    Noor Ki Barish Mein Beeghta Sa Tar Aaya
    Noor Ki Barish Mein.. Ooo
    Noor Ki Barish Mein, Beeghta Sa Tar Aaya
    (Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
    (Maula Maula Maula Maula) - 2
    Dararein Dararein Maathe Pe Maula
    Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..
    (Jo Bhi Tere Dar Aaya, Jhukne Jo Sar Aaya
    Mastiyan Piye Sabko, Jhoomta Nazar Aaya) - 2

    (O Ek Khusbu Aati Thi) - 2
    Mein Bhatakta Jata Tha, Reshmi Si Maya Thi
    Aur Mein Takta Jata Tha
    (Jab Teri Gali Aaya, Sach Tabhi Nazar Aaya) - 2
    Mujhe Mein Woh Khusboo Thi, Jisse Tune Milwaya
    Maula Maula Maula Mere Maula
    (Maula Maula Maula Maula) - 2
    Dararein Dararein Hai Maathe Pe Maula
    Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..


    Aaa Aaaa...
    Tut Ke Bikharna Mujhko Zarur Aata Hai
    Hoo, Tut Ke Bikharna Mujhko Zarur Aata Hai
    Varna Ibbadat Wala Ssarur Aata Hai
    (Sajde Mein Rehne Do, Abb Kahin Na Jaunga) - 2
    Abb Jo Tumne Tukhraya To Sawar Na Paunga
    Maula Maula Maula Mere Maula
    (Maula Maula Maula Maula) - 2
    Dararein Dararein Hai Maathe Pe Maula
    Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..

    Sar Utha Ke Mene To Kitni Khwahishe Ki Thi
    Kitne Khwaab Dekhe The Kitni Khosishe Ki Thi
    Jab Tu Rubaru Aaya...
    Jab Tu Rubaru Aaya Nazarein Na Mila Paya
    Sar Jhuka Ke Ek Pal Mein... Ooo
    Sar Jhuka Ke Ek Pal Mein Mene Kya Nahi Paya
    (Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
    (Maula Maula Maula Maula) - 2
    (Maula Maula Maula Mere Maula) - 2, Mere Maula..
    (Maula Maula Maula Maula) - 2, Mere Maula..

    (Mora Piya Ghar Aaya, Mora Piya Ghar Aaya) - 6
    (Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
    Maula Maula Maula Maula
    Mere Maula Maula Maula Maula
    Mere Maula Maula Maula Maula, Mere Maula
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #5 - October 16, 2010, 05:35 AM

    Hukmaraan hogaey kameenay logg
    khaak mein mil gaey nageenay logg

    har mohib-e-watan zaleel hua
    raat ka faasla taweel hua

    aamiroun kay jo geet gatay rahay
    wohi naam-o-daad paatay rahay

    rehzanoun ney jo rehzani ki thi
    rehbaroun ney bhi kya kami ki thi

    aik baar aur hum huay taqseem
    aik baar aur dil hua do-neem

    yeh fasana hai pasbaanoun ka
    chak choband naujawanoun ka

    sarhadoun ki kya paasbani ki
    hum say bhi raag li jawaani ki

    ik nazar apni zindagi par daal
    ik nazar apni ardali par daal
    fasla khud hi kar zara mehsoos
    yun na Islam ka nikal jaloos!

    Habib Jalib - RIP.

    Pakistan Zindabad? ya Pakistan sey Zinda bhaag?

    Long Live Pakistan? Or run with your lives from Pakistan?
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #6 - October 17, 2010, 11:35 AM

    Winkاکبر الہ آبادی کی یہ نظم ان تمام خواتین کے لئے جو اردو کی بجائے انگریزی ذباں کی مداح ہیں۔

    چار دیواری میں تھی محبوس بے پردہ نہ تھی
    جب بچاری آشنائے رونقِ دنیا نہ تھی
    اب حقیقت ہے مگر پہلے فقط افسانہ تھی
    رشکِ گلشن ہوگئی ہے جو کبھی ویرانہ تھی


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    مرد کے شانہ بہ شانہ دوبدو چلتی ہے وہ
    مونگ خود ہزبینڈ کے سینے پہ اب دلتی ہے وہ
    عہدِ نو ہے، ہر نئے سانچے میں اب ڈھلتی ہے وہ
    کالج و اسکول میں آفس میں اب پلتی ہے وہ


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    رات بھر پڑھتی ہے وہ بیداریاں کرتی ہے وہ
    صبح کو کالج کی بھی تیاریاں کرتی ہے وہ
    دن کو اپنے دوست سے گلکاریاں کرتی ہے وہ
    شام کو اسٹیج پر فنکاریاں کرتی ہے وہ


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    مغربیت کا نشہ سر سے اترتا بھی نہیں
    مشرقیت کا کوئی اب پاس رکھتا بھی نہیں
    کھڑکی دروازوں میں اب باریک پردہ بھی نہیں
    پہلے برقع تھا مکمل اب دوپٹہ بھی نہیں


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    پہلے ناکارہ تھی لیکن وہ بڑی قابل ہے اب
    پہلے گھر کی آبرو تھی رونقِ محفل ہے اب
    من چلوں کے حلقۂ احباب میں شامل ہے اب
    اس کاپردے میں چھپے رہنا بہت مشکل ہے اب

    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    باپ سے بھائی سے ماں سے کب بھلا ڈرتی ہے وہ
    بے محابا کوچہ و بازار میں پھرتی ہے وہ
    بنتِ حوّا تو کسی رخ سے نہیں لگتی ہے وہ
    اس زمانے کی ترقی یافتہ لڑکی ہے وہ


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    جب فلیٹوں سے نکل کر زلف لہراتی ہے وہ
    نوجوانوں کیا، ضعیفوں تک کو بہکاتی ہے وہ
    حسن کے کرتب سرِ بازار دکھلاتی ہے وہ
    عشق کی منڈی میں ہاتھوں ہاتھ لی جاتی ہے وہ


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘


    بدنظر خوش ہورہے ہیں یہ تماشا دیکھ کر
    آشیانہ عفتِ مریم کا جلتا دیکھ کر
    حرمتِ مسلم متاعِ دیں کو لٹتا دیکھ کر
    رو دیئے ہم شرم وغیرت کا جنازہ دیکھ کر


    ’’حامدہ چمکی نہ تھی انگلش سے جب بیگانہ تھی
    اب ہے شمعِ انجمن پہلے چراغِ خانہ تھی‘‘
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #7 - October 17, 2010, 11:38 AM

    yaar mujhe yeh samajh kyun nahin aata.


    kya nahi samajh aa raha mere bhai?

    At evening, casual flocks of pigeons make
    Ambiguous undulations as they sink,
    Downward to darkness, on extended wings. - Stevens
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #8 - October 17, 2010, 03:59 PM

    Yahan koi Nazeer Akbarabadi ki nazam 'Aadmi Namah' chaap sakta hai? Uss mein ik sher mujhe barra zabardast laga tha...laikin uss kay alfaaz bhool gaey  Cry

    Pakistan Zindabad? ya Pakistan sey Zinda bhaag?

    Long Live Pakistan? Or run with your lives from Pakistan?
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #9 - October 17, 2010, 08:22 PM


    duniya mien badshah hai so hai woh bhi aadmi
    aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
    zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
    ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
    tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

    abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
    munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
    kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
    had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
    khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

    fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
    shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
    namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
    yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
    yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

    yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
    yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
    kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
    shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
    aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

    masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
    bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
    padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
    aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
    unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

    yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
    aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
    pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
    chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
    aur sun ke daudhta hai so hai woh bhi aadmi!
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #10 - October 17, 2010, 08:25 PM

    Yahan koi Nazeer Akbarabadi ki nazam 'Aadmi Namah' chaap sakta hai? Uss mein ik sher mujhe barra zabardast laga tha...laikin uss kay alfaaz bhool gaey  Cry

    you can read complete "aadmi naama" on this website
    www.urdupages.com › Home & Entertainment › Gupshup
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #11 - October 17, 2010, 09:33 PM

    Mere dada sharia kia kertay thay, or kafi mazahiya shairi bhi kartay tei. Ek sher jo mujhay yaad hai hai:
    Khoti chari khajoor te
    Surkhi pawder la ke
    Khota mare seetyan
    Tie te pent pa kar
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #12 - November 01, 2010, 07:37 AM

    http://www.youtube.com/watch?v=CC4KPmwj4c4&feature=grec_index

    At evening, casual flocks of pigeons make
    Ambiguous undulations as they sink,
    Downward to darkness, on extended wings. - Stevens
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #13 - July 14, 2011, 06:32 PM



    Ishq ne hamein nikamma bana diya varna hum bhi aadmi the kam ke!



    The World is my country, all mankind are my brethren, and to do good is my religion.
                                   Thomas Paine

    Facts do not cease to exist because they are ignored !- Aldous Huxley
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #14 - July 15, 2011, 03:38 PM

    خدُ یقین نہی ہوتا ہےَ جنِ کو اپنی منزِل کا
    انُ کو راستھے کا پتھر را ہ نہی دیتے!


    Khud yaqueen nahi hota ai jin ko apni manzil ka
    Un ko raste ke patthar rah nahin dethe!

    Free translation: A loser will always find excuses for his failures!



    The World is my country, all mankind are my brethren, and to do good is my religion.
                                   Thomas Paine

    Facts do not cease to exist because they are ignored !- Aldous Huxley
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #15 - July 24, 2011, 09:44 PM

    By Manaan Qadeer Manaan, one of my favourite contemporary poets:

    Aisee Nafrat ko hawa dee, menay…
    Teree tasveer jala dee, menay!

    I have it in picture format, but I cannot as yet post links.
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #16 - July 25, 2011, 05:27 PM

    Here we go:

  • Re: Urdu Shairi
     Reply #17 - March 21, 2012, 03:34 PM

    Allahke bande or allahke dor
    Kaha jayega pesa lakho or coror.
  • A single line that I really like…
     Reply #18 - April 13, 2012, 11:20 PM

    Big Brucie bonus points if you recognise the source!
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #19 - April 17, 2012, 08:28 PM

    Manan Qadeer Manan:

  • Muhabbat Ka Faqeer;
     Reply #20 - May 09, 2012, 11:14 AM

    This one is by Adeel Zaidi:








     



     



     



     
  • Re: Urdu Shairi
     Reply #21 - June 16, 2012, 09:17 AM

    Can't remember if I've posted this clip before. But here's a funny one in punjabi.

    http://www.youtube.com/watch?v=M69tEU5Eqsg
  • 1« Previous thread | Next thread »